Makke aur Madine wale Gair Muqallideen (Ahle Hadees) nahi hain Balke wo Ahle Sunnat Wal Jamaat hain.

 

Makke aur Madine wale Gair Muqallideen (Ahle Hadees) nahi hain Balke wo Ahle Sunnat Wal Jamaat hain. _________________

 

Aaj kal Gair Muqallideen (Ahle Hadees) ne apni Gair Muqallidiyat ki murdah Tahreek me jaan daalne k liye Haramain-Shareefain Makke aur Madine ki khidmat guzar Hukumat aur Saudi Aimma aur Masha’ikh k baare me ye propaganda kiya huwa hai k wo log bhi hamari tarah Ahle Hadees (Gair Muqallid) hain. Is liye hum Ahle Sunnat Wal Jamaat k saada looh musalmano ko inke dhoke se bachane k liye ikhtesaar se Makkah aur Madine walo k Maslak ka Taqabuli jayeza pesh karte hain. Jis se ye baat roshni ki tarah ayaan ho jaye k Makke aur Madine wale Gair Muqallideen (Ahle Hadees) nahi hain Balke wo Ahle Sunnat Wal Jamaat hain.

(1) Makkah Madina wale Ajmaa’e Sahabah Raziallahu anhum aur Ajmaa’e Ummat k Qaail hain. # Gair Muqallideen Ajmaa’e Sahabah aur Ajmaa’e Ummat k Munkir hain.

(2) Makkah Madina wale Qiyaas Sharayi k Qaail hain. # Gair Muqallideen Qiyaas Sharayi k Munkir hain.

(3) Makkah Madina wale ijtihaad’e A’imma k Qaail hain. # Gair Muqallideen ijtihaad’e A’imma k Munkir hain.

(4) Makkah Madina walo k Nazdeek har Aik ko ijtihaad ka Haq nahi hai. # Gair Muqallideen k Nazdeek har khuwanda Na khuwanda musalman ko ijtihaad ka Haq hai.

(5) Makkah Madina walo k Nazdee Gair Mujtahid k liye ijtihaad haraam aur Taqleed wajib hai. # Gair Muqallideen k Nazdeek kisi bhi imam ki Taqleed haraam aur Shirk hai.

(6) Makkah Madina wale imam Ahle Sunnat imam Ahmad bin Hanbal Rahmahullah k Muqallid hain. # Gair Muqallideen k Nazdeek kisi bhi imam ki Taqleed haraam aur Shirk hai.

(7) Makkah Madina wale Fiqah k Qaail hain. # Gair Muqallideen Fiqah k Munkir hai.

(8) Makkah Madina wale Usool’e Fiqah k Qaail hain. # Gair Muqallideen Usool’e Fiqah k Munkir hai.

(9) Makkah Madina wale Chaaron Fiqah ko Siraat-e-Mustaqeem par samajhte hain. # Gair Muqallideen Chaaron Makatib ko Siraat-e-Mustaqeem se mun’harif Chaar khatut yani Chaar Shaytani raaste qarar dete hain.

(10) Makkah Madina wale Chaaro Fiqah ko A’imma Arba se sabit samjhte hain. # Gair Muqallideen kehte hain k chaaron Fiqah A’imma Arba k baad inke Shagirdon ne in ki taraf nisbat kar ke Fiqah Jaafri ki tarah jhooti banali hai.

(11) Makkah Madina walo k Nazdeek tamam Muqallid Hanfi, Malki, Shafaee, Hanbli sab Firqah Naajiya Ahle Sunnat Wal Jamaat hain. # Gair Muqallideen k Nazdeek Sirf in ki jamaat Jannati hai Baaqi tamam Muqallideen Mushrik aur Jahannami hain.

(12) Makkah Madina walo k Nazdeek Sunnate Rasool ki tarah Sunnate Khulafa’e Rashideen Raziallahu anhum bhi Deen wa Sunnat ka hissa hai. # Gair Muaqallideen Khulafa’e Rashideen ki Sunnat k Munkir hai.

(13) Makkah Madina Walo ki Ahle Hadees k Naam se koi jamaat nahi. # Gair Muqallideen hamesha apne aap ko Ahle Hadees kehte hain.

(14) Makkah Madina walo k Nazdeek Ahle Hadees koi mazhabi Laqab nahi balke ilmi Laqab hai. # Gair Muqallideen k Nazdeek Ahle Hadees Mazhabi Laqab hai jo khuwa jahil hi kiyun na ho.

(15) Makkah Madina walo k Nazdeek Roza-e-Rasool (SAW) par pardha huwa Darood-o-Salaam Wo khud sunte hain. # Gair Muqallideen Salaat-o-Salaam k munkir hai.

(16) Makkah Madina walo k Nazdeek Roza-e-Rasool ki hifazat aur khidmat zaruri hai. # Gair Muqallideen k Nazdeek Roza-e- Rasool Shirk wa Bid’at hai is ka girana wajib hai.

(17) Makkah Madina wale Nange sar Namaz nahi pardhte, Namaz me to kiya wo bazaar me bhi Nange sar nahi ghumte. # Gair Muqallideen hamesha Nange sar Namaz pardhte hain aur isko Sunnat samajhte hain.

(18) Makkah Madina wale Namaz me seene par hath nahi bandhte Naaf k niche y Oopar bandhte hain. # Gair Muqallideen hamesha Namaz me seene par hath bandhte hain aur apne amal ko Sunnat samjhte hain. Aur Naaf k niche hath bandhne ko khilafe Sunnat samajhte hai.

(19) Makkah Madina wale imam Namaz-e-Fajr, Magria, Isha me Surah Fatiha se pehle Bismillah aawaze buland (jahar) nahi pardhte aur na Sunnat samajhte hain. # Gair Muqallideen hamesha Namaz-e- Fajr, Magrib, Isha me Bismillah aawaze buland (jahar) se pardhte hain.

(20) Makkah Madina walo k Nazdeek bagair Fatiha pardhe imam k sath Ruku’a me milne wali Raka’t mukammal ho jati hai. # Gair Muqallideen k Nazdeek bagair Fatiha pardhe Ruku’a paane k bavajood Raka’t dobara pardhi jaye.

(21) Makkah Madina wale pehli aur doosri Raka’t k do Sajdon k baad seedhe khade hote hain. # Gair Muqallideen do Sajdon k baad baith k phir khade hote hain.

(22) Makkah Madina walo k Nazdeek Masnoon Taraveeh 20 Raka’t hai aur Aaj bhi Makkah Madina me 20 Raka’t hi pardhi jati hai. # Gair Muqallideen 20 Raka’t Taraveeh ko Bid’at kehte hain aur hamesha 8 Raka’t Taraveeh pardhte hain.

(23) Makkah Madina wale Suahan Rabbiyal A’ala ka jawab buland aawaz se nahi dete. # Gair Muqallideen buland aawaz se Subhan Rabbiyal A’ala keh kar jawab dete hain.

(24) Makkah Madina wale Ramzan aur Gaire Ramzan me sirf 3 Raka’t Witr pardhte hain. # Gair Muqallideen Ramzan me 3 Raka’t aur baaqi mahine me 1 Raka’t Witr pardhte hain.

(25) Makkah Madina walo k Nazdeek Namaz-e-Janazah me Surah Fatiha aur digar Surah pardhna wajia nahi hain. # Gair Muqallideen k Nazdeek bagair Surah Ftiha k pardhe Namaz-e-Janazah Batil hai.

(26) Makkah Madina wale Namaz-e- Janazah Ahle Sunnat Wal Jamaat Hanfiyo ki tarah past aawaz se pardhte hain. # Gair Muqallideen Namaz-e-Janazah buland aawaz se pardhte hain.

(27) Makkah Madina wale Sajdon me jate waqt hamesha ghutne se pehle hath nahi rakhte. # Gair Muqallideen sajdon me jate waqt hamesha ghutno se pehle zamin par hath rakhte hain.

(28) Makkah Madina wale Juma’h me 2 Azaano k Qaail hain. # Gair Muqallideen sirf 1 Azaan k Qaail hain.

(29) Makkah Madina wale Juma’h k Khutbe me Khulafa-e-Rashideen Raziallahu anhum k zikr ko bayan karne me Fakhr samajhte hain. # Gair Muqallideen Juma’h k khutbe me Khulafa-e-Rashideen k zikr ko Bid’at samajhte hain.

(30) Makkah Madina walo k Nazdeek Aik Majlis me di gayi 3 Talaaqe 3 hi shumar hoti hain aur Biwi Shouhar haraam ho jati hai. # Gair Muqallideen Aik Majlis me di gayi 3 Talaaqo ko Aik hi shumar karte hain aur Biwi ko Shouhar par halaal samajhte hain.

(31) Makkah Madina wale 3 Talaaqon k baad Halalah Sharayi k Qaail hain. # Gair Muqallideen 3 Talaaqon k baad Halalah Sharayi k Munkir hain.

(32) Makkah Madina wale E’saal-e- Sawab k Qaail hain. # Gair Muqallideen E’saal-e-Sawab k Munkir hain.

(33) Makkah Madina me Fiqahi Nizaam Raaij hai. # Gair Muqallideen Fiqahi Nizaam ko Kufr k mutaradif samajhte hain.

    Choose :
  • OR
  • To comment
No comments:
Write comments

Old Copy Sites
http://www.raahehaq313.wordpress.com
http://raahehaq313.blog.com