MAIN AHLE HADEES (GAIR MUQALLID) KYUN NAHI BANA ?

 

MAIN AHLE HADEES (GAIR MUQALLID) KYUN NAHI BANA ?

► Mujhe ye keh kar Ahle Hadees (Gair Muqallid, Wahabi) banne ki Dawat di gayi k Ahle Hadees Mazhab me Ummatiyo k Qaul wa Raaye ki bajaye Deen ka har Mas’ala khaalis Quran-o- Hadees se bataya jata hai.

Chunancha main ne is Daa’we ki Haqiqat janne k liye mandarjah zeil sawalaat Professer Hafiz Saeed, Professer Abdur Rahman Makki, (bhawalpuri) k alawa mukhtalif Ahle Hadees Ulama se kiye Lekin Khaalis Quran-o-Hadees k badle khaalis gaaliyon se aur Nazeeba kalmat se jawab diya gaya.

Lehaza Main Ahle Hadeeson k is jhoote Daa’we par matla’a hone k baad na sirf ye k Ahle Hadees mazhab me dakhil na huwa balke Main inki gumrahi se bachne par ALLAH Ta’ala ka Shukr adaa kiya, wo Sawalaat ye hain!

(1) LAA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH:
Ye kalmah Sahih hai ya Galat?
Agar Sahih hai to isee tarteeb k sath dono juzey ikhatti inhi alfaz k sath Quran Majid ya Sihah Sittah me dikha de aur wo Hadees puri sanad aur Arbi alfaz k sath tehreer karde aur agar galat hai to iska A’laan farma de aur likh kar de dein.

(2) Baaz Ahle Hadees Ulmaa kehte hain k
LAA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH
pardhne k liye nahi balke sirf jhande par likhne k liye hai ye Sach hai ya Jhoot?
Agar jhoot hai to jin logon ne ye baat kahi hai wo gunahgaar hoye Ya nahi inko Taubah karni chahiye Ya nahi?
Aur agar Sach hai to wo Hadees nakal farma de jisme Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ho k ye kalmah sirf jhande par likhne k liye hain pardhne k liye nahi.
Neiz ye bhi bata de k jo Log ye Kalmah zabaan se pardhte hain wo Gunahgaar hain Ya nahi?

(3) Hadees ki Tareef ye ki jati hai Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Qaul, Fea’l aur Taqreer yani doosre aadmi k kaam par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka sakoot karna ye Tareef Quran me hai Ya Hadees me,
agar Quran me hai to wo Aayat pardh de aur Hadees me hai to wo Hadees sunade balke Aayat wa Hadees tehreer karde.

(4) Kya Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Hadees par amal karne ka Hukm diya hai?
Kya Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Hadees par amal karne ki targeea di hai?
Kya Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Hadees par amal na karne ki koi waeed sunayi hai?
Is par Aap Aik Hadees Ba-Hawala tehreer farma de, Lekin yaad rakhe k Hadees k Lafz ki sarahat ho Aur agar Aap k Nazdeek Hadees aur Sunnat Aik Cheez hai, to is par Hadees paish kare jis me Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farma diya ho k Hadees aur Sunnat Aik Cheez hai, Aap apni Raaye paish na kare.

Neiz agar Hadees aur Sunnat Aik Cheez hai to kya wajag hai k Aap (SAW) ne Ahadees me Sunnat par amal karne ka hukm diya hai. Sunnat par amal karne ki targeeb di hai Aur Sunnat se A’raaz karne par waeed hai.
Kisi Aik Hadees me bhi Lafz Hadees bol kar amal karne ka Na Hukm hai Na Targeeb hai.
Aur Na hi Hadees par amal Na karne par koi waeed hai.

(5) Kya kisi Hadees me sarahat hai k Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ahle Hadees the Ya Muhammadi the?
Kya Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Jamaat Sahaba’e Kiram (Raziallahu anhum)
“Jamaat Ahle Hadees” Ya”Muhammadi Jamaat” rakha hai?
Kya Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne 23 saalah Zamana’e Nubuwwat me sirf Aik martaba apne liye Ya 1 Lakh 24 Hazar Ya kam-o-besh Sahaba’e Kiram (Raziallahu anhum) me se Aik Sahabi k liye Ahle Hadees Ya Muhammadi ka Lafz istemal farmaya hai?
Kya kisi Sahabi ne kisi Ta’baee ne kisi Taba-Ta’baee ne kisi Muhaddis ne kisi Faqih ne kisi Mufassir ne Farangi Dour se pehle apna Laqab Muhammadi rakha hai?
Aur is naam par jamaat banayi hai?
Ba-Hawala tehreer farma de.

(6) Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Rouza-e Pak Bid’at hai Ya nahi?
Agar Bid’at nahi to wo Aayat ya Sahih Sareeh Hadees paish farmaye. Jisme Rouza-e Aqdas banane ka Hukm hai Aur agar Bid’at hai to iska girana wajib hai ya nahi?
Aur jo hukumat is Bid’at ki hifazat kare wo Bid’ati hai ya nahi?
Iske khilaf Jihad Farz hai ya nahi?

Neiz Makkah wa Madina par Ahle Hadeeso ka Qabza ho jaye to wo Rouza-e-Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki hifazat karege ya girayege?

(7) Masjid k Mehraab aur Minaar banane ka Hadees me hukm hai ya nahi?
Agar hukm hai to Hadees tehreer farma de Aur agar ye hukm nahi hai to Baitullah Aur Masjid-e Nabvi k Minaar Bid’at hai ya nahi?
In ko banane aur in ki hifazat karne wali hukumat Bid’ati hai ya nahi?
Aur Aysi Bid’t wali Masjid me Namaz ka kya hukm hai?
Agar Ahle Hadees Makkah wa Madina par Qabiz ho jaye to wo Baitullah aur Masjid-e- Nabvi k Minaar Baaqi rakhenge ya giradenge?

(8) Makkah wa Madina me Namz-e- Janazah jo Hanfiyo ki tarah pardha jata hai, jab k Gair Muqallideen ka tariqa iske khilaf hai?
In me se konsa tariqa sahih hai konsa galat hai?
A’imma Harmain jo Hanfiyo ki tarah Namaz-e- Janazah pardha rahe hain wo Quran-o- Hadees se mun’harif hoye hain ya nahi?
Inke mutalliq kya Fatwa hai?
Aur jin logon ko Makkah wa Madina me mout naseeb hoti hai aur inki Namaz-e- Janazah Hanfi tariqe k mutabhk A’imma Harmain pardhte hain.
Wo log Namaz- e-Janazah k bagair dafan hoye ya nahi? Agar wo Namaz-e-Janazah k sath dafan hoye hain to India wa Pakistan me Gair Muqallideen Bagair Namaz-e- Janaza k dafan ka Fatwa kyun lagate hain?

(9) Namaz-e-Janazah ki Aik ya Do Takbire rah jaye to Namaz-e-Janazah kis tarah puri ki jaye to Sahih Sareeh Hadees se jawab de.

(10) Al Shaykh Muhammad bin Abdullah Al Sabeel ne apne Maktoob me saaf likha hai k A’imma Harmain Hanbli hain ye Maktoob”Sharayi Faisle” naami kitaab me inke pad par likha huwa moujood hai
is se Shaykh mousoof aur doosre A’imma Harmin Mushrik hoye hain ya nahi?
Inke peeche Namaz Jayez hai ya Najayez?

(11) Hanfi Mushrik hain ya nahi?
Agar Mushrik nahi to aap Taqleed ko Shirk kyun kehte hain?
Aur agar Mushrik hain to inke sath Nikah karne ka, inki Namaz-e-Janazah pardhne, inko Ahle Hadees ki Namaz-e-Janazah me shareek karne ka kya hukm hai?
Neiz India, Pakistan me aur Saudiyah me Ahle Hadeeso ki hukumat Qayem ho jaye to wo Hanfiyo aur Hanbaliyo se Zakat wasool karege ya jizya(Tax)?

(12) Angrezo k dour se pehle pure Aalm-e-Islam me koi Aik Masjid bataye jis ka naam Jama Masjid Ahle Hadees ya Muhammadi Masjid ho?

(13) Sahih Bukhari me Jooti pahen kar Namaz pardhne ka baab hai jisme Hadees hai k Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jooti k sath Namaz pardha karte the. Jab k Bukhari me Jooti utaar kar Namaz pardhne ki koi Hadees nahi hai aur doosri kitabon ki Hadees baqol Ahle Hadees sahibaan Sahih Bukhari k muqable me koi Haisiyat nahi rakhti to is soorat me Jooti utaar kar Namaz pardhna Sahih Bukhari k khilaf hai ya nahi?
Aur Jooti utaar kar Namaz pardhne wale log Gunahgaar hain ya nahi?

(14) Muqtadi Takbire Tehrima aahista kehta hai.
Isee tarah akela Namazi bhi Takbire Tehrima aahista kehta hai ispar Sahih Sareeh Marfoo Hadees paish farmaye.

(15) Agar Sana ki jagah Fatiha pardhle to is shakhs k liye kya hukm hai?
Ispar Sajdah Sahoo wajib hai ya nahi?
Sahih Sareeh Marfoo Hadees se jawab de.

► Gair Muqallideen apne daa’we k mutabiq kisi Hadees ko bhi Na Sahih keh sakte hain Na Zaeef kyun k ALLAH aur Rasool ne Na kisi Hadees ko Sahih kaha hag Na Zaeef Balke Ummatiyo ki Taqleed kar k Sahih Hadees ko Qubool karte hain Aur Zaeef Hadees ko Radd karte hain Halaan k Gair Muqallideen k nazdeek Taqleed Shirk hai. Neiz Ummatiyon ki Raaye galat ho sakti hai Mumkin hai inho ne jis Hadees ko Sahih kaha hai wo Zaeef ho Aur jis ko Zaeef kaha hai wo Sahih ho kyun k masoom sirf Nabi Pak (Sallallahu Alahi Wasallam) ki Zaat hai ! Kya Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya hai k Fuqaha ki Taqleed Shirk hai aur Muhaddiseen ki Taqleed Shirk nahi?
Fuqaha se galti ho sakti hai aur Muhaddiseen masoom hain?

► CHALLENGE ! Gair Muqallid LaMazhab Tola(Ahle Hadees) Quran Aur Hadees se in sawalon ka jawab de.

    Choose :
  • OR
  • To comment
No comments:
Write comments

Old Copy Sites
http://www.raahehaq313.wordpress.com
http://raahehaq313.blog.com