GHAIR MUQALLIDEEN AUR SHIA’KE WASAAWIS

 


 MUQALLIDEEN, Aimma e Araba’ki Taqleed karte hain aur Apne Apko Hanafi, Shafi’i, Maaliki, Hanbali kehte hain aur Khulfa e Rashideen rz. ka ilm wa martaba Aimma e Araba’se bohat zyada hai toh phir Muqallideen Khulfa e Rashideen ki Taqlid kyon nahi Karte.?

Aur Abu Bakri, Umri, Usmani, Alwi kyon nahi kehlaate? haalanke ye Aimma e Araba toh Huzoor SAWS ke zamane ke ba’d aaye hain. Isi tarah in Muqallideen ne Qiyaas aur Aimma ki raai ko pakad liya aur Allah ta’la ke Deen me wo Kuch kar diya jo isme nahi tha. Ahkam e Shari’at me Tahreef kardi, aur 4 Mazaheb bana liye Jo Rasool SAWS aur Sahaba rz. ke zamane me nahi the. Sahaba e Kiraam rz. ke Aqwaal ko Chhor diya aur Qiyaas ko iqtiyar kar liya haalaanke Sahaba rz. ne Qiyaas ko chhorne ki Tasreeh ki hai aur Unhone farmaya: Sabse pehle Qiyas Iblees ne kiya tha..??

>>> AL JAWAAB:

Ye Waswasa toh Kayi Wasaawis ka majmua’hai jaisa ke zahir hai, aur mumkin hai Aap ne Wasaawis kayi martaba sune bhi hongey. Lekin Aap ko Ye sun kar Hairat Angezi hogi ke in Tamam Wasaawis ko sab se pehle Pesh karne wale Shia’Rawafiz the, aur in Tamam Wasaawis ka Jawab Aaj se 800 saal pehle Ahle Sunnat Wal Jama’t ki taraf se Sheikhul Islam Ibne Taymiyyah Rahimahullah badi Tafseel ke sath de chuke the, aur Aaj kal Ye Wasaawis Shia Rawafiz se chori ki hai.

Firqa e Jadeed Naam Nihad Ahle Hadis me shamil Juhalaa ki khush Qismati hai ke ye firqa Jadeed Sheikhul Islam Ibne Taymiyyah Rahimahullah ke zamane me nahi tha warna inka bhi Khoob Radd karte jis tarah Rawafiz ka bhi Radd kiya.

Ibne Taymiyyah rahimahullah apni Kitab MINHAJUS SUNNAH AN NABAWIYAH in Mazkoora baala wasaawis ka Tafseeli aur Mu tod jawab diya hai aur Ye Kitab MINHAJUS SUNNAH AN NABAWIYAH rawafiz Shia’ki Radd me ek Azeem kitab hai. Mere paas Ye Kitab 4 Jildo me hai.

Awwalan, mai Ibne Taymiyyah rahimahullah ke Jawabat ka Khulasa Zikr karta hu phir Inki asal Ibarat ka zikr karunga.

Ibne Taymiyyah rh. ne pehle”QAALA AR RAAFZI”keh kar iske Wasaawis naqal kiye jiska zikr Oopar ho chuka, lihaza mai mukhtasaran Ibne Taymiyyah rh. ke jawabat Naqal karta hu.

RAAFIZ WASWASA 1:

Ye Mazaheb Rasool SAWS aur Sahaba e Kiram Rz. Ke zamane me moujood nahi the.?

IBNE TAYMIYYAH RH. KA JAWAB:

Hazraat Aimma e Araba Rahimahumullah ke Masaail wahi hain Jo Rasoolullah SAWS aur Sahaba e Kiram rz. se naqal dar naqal hote chale aa rahe hain, baqi ye baat ke Aimma e Araba, Huzoor SAWS ke zamane me nahi the toh isme Kya harj hai? Imam Bukhari, Muslim, Abu Dawud, Imam Hafs Koofi ya Imam Ibne Kaseer aur Imam Nafe’waghera hum Aimma e kiram bhi Rasoolullah SAWS ke zamane me nahi the.

RAAFZI WASWASA 2:

Muqallideen ne Aqwal e Sahab rz. ko chhor diya aur Qiyas ko pakad liya.?

IBNE TAYMIYYA RH. KA JAWAB:

Ye Raafzi ka jhoot hai. Mazaheb e Araba’ki kitabo ko Dekh lijiye ke Wo Aqwal e Sahaba rz. se bhari padi hain lihaza wo Aimma e Araba’aur Jamee’Ahlus Sunnah Sahaba kiram rz. ke aqwal se ba qaaidah istedlal karte hain aur unke aqwal ko apne liye Hujjat wa Daleel samajhte hain aur un par amal karte hain aur Ahle Sunnat ke nazdeek Sahaba e Kiraam ke Ijma’se Khurooj wa Mukhalifat Jayez nahi hai. Hatta Aam Aimma e Mujtahideen ne ye Tasreeh ki hai hamare liye Aqwal e Sahaba e Kiram se bhi Khurooj wa Mukhalifat jayez nahi hai. (Jabke iske bar aks firqa e jadeed Naam nihad Ahle Hadis, naam nihaad Ghair Muqallideen ka mazhab ye hai ke Sahabi rz. ka Qoul, Fa’l, Faham, Hujjat wa Daleel nahi hai, lihaza Ahle Sunnat ke Tareeq par koun hua, firqa e Jadeed Ahle Hadis ya Mazaheb e Araba’.?

RAAFIZ WASWASAH 3:

Muqallideen ne 4 Mazaheb ghad liye hain jo Rasoolullah SAWS aur Sahaba e Kiraam rz. ke Zamane me nahi the.?

IBNE TAYMIYYA RH. KA JAWAB:

Agar Raafzi ki muraad ye hai ke Aimma e Araba’ne ye Mazaheb ghad liye hain aur Sahaba e Kiraam ki mukhalifat ki, Taubah Raafzi ka jhoot hai Aimma e Araba’par, balke Un Aimma me se har ek ne Kitab o Sunnat ki da’wat hi di hai. (Kya Kitab o Sunnat ke Daa’i ke Mazhab ki Taqleed wa ittiba’karne wala (Ma’z Allah) Mushrik wa Bid’ati hota hai.?

RAAFZI WASWASAH 4:

Muqallideen apne Aap ko Abu Bakri, Umri waghera nahi kehte ya’ni Mazhab Abi Bakar wa Umar rz. kyon Iqtiyar nahi karte.?

IBNE TAYMIYYAH RH. KA JAWAB:

Sabab iska ye hai ke Abu Bakar wa Umar rz. waghera ne Deeni Masaail ko Kitabi Shakal me jama’nahi kiye, ba khilaf Aimma e Araba’ke. Khud Aimma e Araba’aur unke Mu’tamad wa Mu’tabar Shagirdo ne unke bayan kardah tamam Masaail wa Ijtihadat ko Kaamil taur par Jama’kar diya. Isliye in Masaail ki Nisbat Aimma e Araba’ki taraf ho gayi aur Un Masail me in Aimma ki Taqleed wa Ittiba’karne wale Hanafi, Shafi’i waghera kehlaye.

(Yaha se Ibne Taymiyyah rh. ne Firqa Ahle Hadis me shamil ba’z Juhalaa ka ye waswasa bhi Kaafoor kar diya ke logo ne ba’d me Ye masaail Imam Abu Hanifah rahimahullah ki taraf mansoob karliye hain. Ye unke apne Masaail nahi hain).

*5* Jis tarah Bukhari, Muslim, Abi Dawood waghera Kutab Imam Bukhari, Imam Muslim, Imam Abu Dawood ne murattib wa Mudawwan wa Jama’kiye hain, aur intehaai Amanat wa diyanat ke sath unhone Ahadis e Rasool SAWS ko jama’kiya hai, isliye in Kutab ki nisbat unhi ki taraf ki jati hai, Ye nisbat aisi nahi hai ke (Ma’z Allah) in kutab me Unki apni Ikhtia’i wa Ijaad kardah batein hain, Jaise Kitab Sahih Bukhari ko Imam Bukhari ki taraf mansoob karne se Ye laazim nahi aata ke isme darj shudah Ahadis Imam Bukhari ke apne Aqwal wa Aara’hain, Ahadis nahi hain. Isi tarah Hazraat e Aimma e Araba’ki taraf Masaail ki nisbat se hargiz Ye laazim nahi aata ke Wo Rasool SAWS wa Sahaba e Kiram rz. Ke Aasaar nahi hain.

Jis tarah Imam Bukhari ne 16 saal ki kamaal Mehnat wa Mashaqqat ke sath in Ahadis ko jama’karne par lagaye, Usi tarah Masaail e Fiqah ki jama’wa Tadween Hazraat e Aimma e Araba’waghera Hum Mujtahideen ne intehaai koshish wa Mehnat ki hai. Isi wajah se In Masaail ki nisbat unki taraf hui, isliye nahi ke Ye unki apni Ijaad wa Ikhtira’hai.

*6* Isi tarah Imam Hafs koofi ya Imam Ibne Kaseer aur Imam Nafe’waghera Hum Qur’aa e Kiram ki Qir’at unki Apni Ijaad nahi hai balke Un Qur’a e kiram ki Qir’aat toh Khud Hadis e Sahih se sabit hain.

Aur Hazraat e Sahaba rz. se Tawatir se manqool hoti chali aa rahi hain, lihaza in Qir’aat ki nisbat Hazraat e Qur’aa e kiram ki taraf hone se ye laazim nahi aata ke ye Qir’at toh unki apni ijaad hain. Isi tarah fiqah aur Mazaheb e Araba’ki Aimma ki taraf nisbat se ye laazmi nahi aata ke ye fiqah wa masaail e Fiqah toh Aimma ki ijaad hain.

RAAFZI WASWASAH 7:

Sahaba e kiram ne Qiyaas ko chhorne ki tasreeh ki hai, aur unhone faramaya: Sabse pehle Qiyaas Iblees ne kiya tha.

IBNE TAYMIYYAH RH. KA JAWAB:

Jamhoor Ulama e Qiyas ka isbaat karte hain aur Unhone farmaya ke Sahaba e Kiraam se Ijtihaad bil Raai aur Qiyas sabit hai. Jaisa ke Unse Qiyas ki mazammat bhi sabit hai. Lihaza dono Qoul Sahih hain. Pas mazmoom Qiyas wo hai jo kisi Nus ke Mukhalif wa Mua’riz ho jaise Un logo ka Qiyas jinhone kaha INNAMAL BY’A MISLUR RIBA’.

(Lihaza Aimma e Araba wa deegar Aimma e Mujtahideen ka Qiyas kisi Nus ke Mukhalif nahi hota).

Ibn e Taymiyya rh. ke Jawabat ke Khulase Ke ba’d Aapko ye bhi pata chal gaya ke Firqa Jadeed Naam nihaad Ahle Hadis ne ye sab Wasaawis Shia’se Chori kiye hain.

Aqalmand Aadmi ke liye isme ye sabaq wa ibrat bhi wazeh hai ke ye sab Baatil Wasaawis hain jisko firqa Ahle Hadis me shamil Jahil Shuyookh girdaante rahte hain.

Agar in wasaawis me koi waswasa Haqq wa sach hota toh Ibn e Taymiyya rh. ne jawaban ye kyon nahi kaha ke Ae Rawafiz! Tera falaa waswasa Haqq hai.?

Aise Wasaawis ki wajah se hi Hum Sunniyo ko kehna padta hai Firqa e Jadeed Ahle Hadees asal me Chhote Raafzi hain.

    Choose :
  • OR
  • To comment
No comments:
Write comments

Old Copy Sites
http://www.raahehaq313.wordpress.com
http://raahehaq313.blog.com