LATEEFAH Joke

 




♥ = LATEEFA’H = ♥

•= 1 dafa 1 lamazhab Sheikh ul Hadees Sahab 1 Dukaan par gaye ♥

•= Waha 1 Hanfi Noujawân ko pucha kiya tum Muqallid ho ?

•= Is nay kaha G haan may Anpardh hoon zahir hay k meray paas kisi Aalim par Aetmaad kay siwa koi charah kaar nahi is liye TAQLEED kay bagair na NAMAZ pardh sakta hoon na koi Deeni kaam saranjaam day sakta hoon ♥

•= Sheikh ul Hadees Sahab nay kaha kis ki TAQLEED karogay ?

•= Is nay kaha Aap bhi AALIM hay – may Aap par Aetmaad kar kay Masayeel puchloon gaa aur Aap ki TAQLEED karloon gaa ♥

•= Ye baat sunkar Sheikh ul Hadees Sahab khamosh hogaye ♥

•= Wo Noujawaan thordhi dair khamosh raha k Sheikh ul Hadees Sahab apni TAQLEED say mujhay mana’a karain gay ♥

•= Koi Aayat ya Hadees pardhain gay ♥

•= Magar Sheikh ul Hadees Sahab khamosh rahay ♥

•= Is Noujawaan nay kaha Hazrat agar may kehdeta k may Hazrat Imam e Azam Abu Hanifa’h Rehmahullah ki TAQLEED karta hoon to saraa Quran meray khilaaf pardha jata ♥

•= Kabhi Abu jahal kay mutalliq Aayaat mujh per Fit ki jateen ♥

•= To kabhi Ahbaro Ruhbaan wali Aayat meray IMAM per chaspaan ki jateen ♥

•= Kabhi mujhay Mushrik kaha jata ♥

•= Kabhi meray IMAM ko Qiyaas e Sharayi ki waja’h say Shetaan kaha jata ♥

•= Kabhi TAQLEED ko kuttay ka patta kaha jata ♥

•= Kabhi meray MUHAMMADI honay ka inkaar kiya jata ♥

•= Mujhay NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka munkir, Deen ka dushman kaha jata, Magar ab may aap ki TAQLEED kay liye tayyar hoon ♥

•= Ab na koi Aayat meray khilaaf pardhi hay aur na koi Hadees ♥

•= Maloom huwa ikhtelaaf TAQLEED may nahi ♥

•= Wo to aapki Awaam may bhi paayi jati hay ♥

•= Sirf IMAM ABU HANIFA’H REHMAHULLAH say Hasad hay k loog in ki TAQLEED kiyoon kartay hain ? Hamari kiyoon nahi karte ♥

•= Hum jis Tarah Doctor ko chordh kar Anaardhi say Dawaayi nahi letay ♥

•= Wakeel ko chordh kar Jaahil say Qanooni Mashwarah nahi letay ♥

•= Isy tarah HAZRAT IMAM E AZAM REHMAHULLAH kay muqablay may Aap ko Na’ahel Samajhtay hain is liye Aap ki TAQLEED nahi kartay ♥

    Choose :
  • OR
  • To comment
No comments:
Write comments

Old Copy Sites
http://www.raahehaq313.wordpress.com
http://raahehaq313.blog.com