Aurto ki Behtirin Masjid aur Aurto ka Tariqa e Namaaz
Mohtaram
Baraadraan-E-Islam.! Deen-E-Islam Me Aurto'n Ko Pardah Nasheen Rehne Ka
Hukm Diya Gaya Hai. Islam Ne Aurat Ko Ghar Ka Charaagh Banaya Hai.
Isi
Wajah Se Aurto'n Ka Masjid Aa Kar Namaz Parhna Lazim Nahi Hai Balke
Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Apne Mubarak Zamanah Ki
Pakeezah Aurto'n Ko Bhi Ghar Me Namaz Parhne Ki Baar Baar Targheeb Di
Hai Aur Is Par Zyadah Sawaab Ki Basharat Sunaayi Hai.
Mardo
Se Toh Yeh Farmaaya Ke Agar Koi Aurat Tum Se Masjid Jaane Ki Ijaazat
Maangne Toh Ijaazat De Toh Ma’na Mat Karo Lekin Kisi Bhi Khatoon Ko Aap
Saw Ne Masjid Aakar Namaz Padhne Ka Hukum Nahi Diyaa Balke Uski Targheeb
Bhi Nahi Di Aur Yahi Ahnaaf Wa Shwaafe Aur Puri Ummat Ka Hukum Hai ,
Lekin
Is Sunnat E Nabawi Aur Ijma E Ummat Ke Barqilaaf Daur E Haazir Keg Hair
Muqallideen Ahle Hadees Ahbaab Khwateen Ko Masjido Me Aakar Namaz
Padhne Ka Hukum De Raha Hai Aur Ghair Muqallid Ahle Hadees Khwateen Bhi
Poore Zauq Wa Shauq Ke Saat Sawaab Ka Kaam Samaj Kar Masjid Aakar Namaz
Aada Karti Hai (Balke Toh Ghair Muqallideen Aurto Ko Maah E Ramzaan Me
10 Din Masjido Me Mardo Ke Saat Aitekaaf Bhi Karaane Ki Koshish Kar Rahe
Hai , Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya ) ,
Lekin
Dar Haqiqat Ghair Muqallideen Hazraat Yeh Fa’al Shariyat Ke Ahkaam Ke
Khilaaf Hai.Kyunke Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Daur E
Mubarak Me Fitna Ka Andesha Nahi Tha Aur Us Waqt Khwatein Sharii Usool
Aur Chand Bandhiyo Aur Sharto Ke Saat Masjid Aakar Namaz Aada Karti Thi
Lekin Hazrat Umar Farooq Rdh. Ke Zamana E Khilaafat Me Jab Aurto Ki
Halat Me Kuch Tabdeeli Aane Lagi Toh Unko Masjid Me Aakar Padhne Se Rook
Diya , Jaisa Ke Khud Hazrat Ayesha Siddiqua Rdh. Bayaan Farmaati Hai Ke
:Aurto Ne Jo Nayi Cheese Ijaad Ki Hai Agar Rasoolullah Saw Usko Dekh
Lete Toh Unko(Apne Daur Me Hi)Masjid Aane Se Zaroor Ma’na Farmaa Dete
Jaisa Ke Bani Israel Ki Aurto Ko Ma’na Kardiyaa Gaya Tha.
Huzoor
E Akram Saw Ke Zamane Me Aurto Ko Din Ki Namazo Me Nahi Balke Raat Ki
Namaz Me Masjid Me Haazir Hone Ki Ijaazat Thi Jaisa Kea Lama Kirmaani
Rh. Farmaate Hai Ke Rasool Ullah Saw Ka Irshaad E Giraami “Aurto Ko
Masjid Jaane Se Na Rooko “ Raat Ke Bare Me Hai.(Kiraamaani) Phir Huzur E
Akram Saw Ki Wafaat Ke Ba’ad Tabdeeli Ki Waje Se Sahaba Ikraam Rdh.
Apni Khwateen Ko Maasajid Jaane Se Rokne Lage. “Hazrat Abdullah Bin
Masood Rdh. Juma Ke Din Aurto Ko Yeh Kehte Huwe Masjid Se Nikaal Dete
The Ke Apne Ghar Ko Jaao Wo Tumaare Liye Behtar Hai.(Tabraani E Kabeer)
Alama Hishmo Rh. aur Alama Manzri Rh. Farmaate Hai Ke : Is Riwayat ke
Tamaam Raavi Siqa Qabil e Aaitemaad hai aur Iski Sanad me Koi Aaib Nahi (Majmua Al Zawaid 35/2 , Targheeb 94/1).
Hazrat Abdullah Bin Omer Rdh. Masjid Aane Waali Khwatein Ko Kankariyaa Maarkar Masjid Se Nikaalte The.(Umda Tul Qaari : 225/6)
Hazrat Ibn Omer Rdh. Ghar Ki Aurto Ko Dono Eido Me Eidgah Nahi Leejaate The.(Musannaf Ibn Abi Shaiba).
Phir
Jamhoor Sahaba Rdh. Bhi Khwatein Ko Masjid Jaane Se Ma’na Karne Lage
Jasa Ke Hazrat Shah Wali Ullah Rh. Tehreer Farmaate Hai : Aksar Sahaba
Ikraam Rdh. Ne Aurto Ko Masjid Jaane Se Ma’na Karne Ka Faisla
Farmaya…Aur Fitna Ke Andesha Se Aurto Ko Roknaa Jayez Hai.(Hujjat Ul Baalegha).
Huzoor
E Aqdas Ka Irshaad E Giraami Hai : Aurat Ka Ghar Me Namaz Aada Karna
Chahiye Mohalle Ki Masjid Me Namaz Padhne Se Behtar Hai.(Tabraani , Targheeb 93/1) Is Rivayaat Ki Sanad Jaiyad Hai.
Aurto
Ko Masjid Jaane Se Mat Roko Lekin Unke Ghar Unke Liye Masjid Se Behtar
Hai.Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh Aur Abdullah Bin Abbas Rdh. Farmaaya
Karte The “Aurat Ka Apne Ghar Ke Kamre Me Namaz Padhna Apne Mohalle Ki
Masjid Me Namaz Padhne Se Afzal Hai “.(Tabraani Uski Raavi Saheeh Ke
Raavi Hai , Majmua E Zawaid 35/2 , Musannaf Ibn Abi Shaiba 354/2 , Iski
Rivayat Hasan Hai) Is Ke Alaawa Aur Kai Riwaayate Hai Jin Se Waajeh Hota
Hai Ke Shariyat Me Aurto Ka Qususan Jawaan Aurto Ka Masjid Me Aakar
Namaz Padhna Harghiz Jayez Pasanad-Dida Kaam Nahi.(Tafseel Ke Liye Padhiye : Majmua Rasail Wa Maqaalaat : Jild Duwam)
Aurto'n Ki Namaz Ka Islami Tareeqah:
Mohtaram
Baraadaraan-E-Islam.! Shari'at Islami Ke Ahkaam Par Amal Karna Jis
Tarah Mardo'n Par Farz Hai Waise Hi Aurto'n Par Bhi Farz Hai. Insano Ki
Ye Dono Sanafei'n Aksar Ahkaam Me Yaksaa'n Aur Barabar Hain Lekin
Mard-O-Aurat Ke Darmyan Jo Khalqi, Jismani Wa Tib'i Farq Hai, Iska
Lihaaz Rakhte Hue Islam Ne Apne Ba'z Ahkaam Me Mard-O-Aurat Ke Darmyan
Kuch Farq Rakha Hai.
Isi
Tarah Namaz Ke Bhi Aksar Ahkaam Me Mard-O-Aurat Dono Barabar Hain Lekin
Kuch Ahkaam Me Dono Ke Darmiyaan Kuch Farq Hai, Jo Ahadees Rasool
(Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Aur Aasaar Sahaba (Raz.) Se Sabit Hai.
Imam
Al- Azam Abu Haneefah, Imam Shafa'i, Imam Malik, Imam Ahmad
(Rahmatullahi Alaihim) Aur Jamhoor Fuqaha' Wa Muhaddiseen Ka Bhi Yehi
Maslak Hai.
Aur
To Aur Chand Dahay (Decades) Pehle Tak Maujoodah Hindustani Jama't Ahle
Hadis Ka Bhi Yehi Maslak Tha Jaisa Ke Unki Kitab Nuzlul Abraar,
Risaalah Ta'leem As-Salaath Se Ma'loom Hota Hai Jisme Aurto'n Ko Mardo'n
Ki Tarah Sajdah Karne Se Mana' Kiya Gaya Hai. [Tafseel Ke Liye Dekhiye Majmua' Rasaa'il Wa Maqaalaat Jild Duwwam]
Lekin
Aaj Ke Ghair Muqallideen Hazraat Bohat Saare Masaa'il Ki Tarah Is
Masla'h Me Bhi Jam'hoor Ummat Aur Khud Apne Akabireen Buzrugo Ki
Mukhalifat Kar Rahe Hain.
Maujuda Ghair Muqallideen Ek Hadees Shareef "Namaz Us Tarah Parho, Jis Tarah Mujhe Parhte Dekhte Ho." [Sahih Bukhari] Ka Ghalat Matlab Nikaal Kar Ye Propaganda Kar Rahe Hain Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Koi Farq Nahi Hai.
Sawaal
Ye Hai Ke Agar Is Hadees Ki Roo Se Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Koi Farq
Nahi Hai To Phir Charo'n Maslako'n Me Farq Kyon Bayan Kiya Gaya Hai.?
Kya
14vi Sadi Ke Ghair Muqallideen Hi Ko Is Hadis Ka Matlab Samajh Me Aaya
Aur Inse Pehle Kisi Ko Hatta Ke Unki Hi Jama't Ke Buzrugo'n Ko Bhi Sahih
Matlab Ma'loom Nahi Hua.?
Sahih
Bukhari Ki Mash'hoor Shuroohaat Ibne Hajar, Ibne Battal, Allamah Aini
(Rah.) Waghera Ne Likhi Hain Par Kisi Ne Is Hadis Ka Ye Matlab Kyon Nahi
Bayan Kiya.?
Dar
Haqeeqat Sahih Baat Yehi Hai Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Kuch Farq Hai
Aur Mard-O-Aurat Ko Waisi Namaz Parhni Chahiye Jaisa Ke Unko Shari'at Me
Bataya Gaya Hai.
Farq Ko Waazeh Karne Waali Rivaayaat:
1.
Jaleel ul Qadr Tabii Yazeed Bin Habeeb (Rah.) Se Rivayat Hai Ke
Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ka 2 Aurto par Guzar Huwa Jo
Namaz Padh Rahi Thi , Aap SAW ne Farmaya : Jab Tum Sajda Karo Toh Jism
ka Kuch Hissa Zameen se Chipka Diyaa Karo , Kyunke Aurat Is Masle me
Mard ki Tarah Nahi hai.(Marasil e Abu Dawud : 8)
2.
Hazrat Ali (Raz.) Ne Farmate hai ke Jab Aurat Sajda Kare Toh Samet
Jaaye aur Apni Raano ko Milaale.(Musannaf Ibn Abi Shaiba : 504/2 ,Sunan e
Kubra , Musannaf Abdur Razzak ] Muhaddis e Kabeer Alama Zafer Ahmed
Usmani Rh. Farmaate Hai:Yeh Riwayat Hasan Darje ki Hai.(A’aa Al Sunan : 182/2).
3. Hazrat Umm Darda Rdh. Apne Kaandho Tak Uthaati Thi.(Juz e Rafedain : Safa 66 , Musannaf Ibn Abi Shaiba) Fuqaha
wa Muhaddiseen Rehmaullah ke Nazdeek Is Riwayat ki rooshni me Aurat ke
Liye Kaandho tak Haat Utaana Behtar Kyunke isme Satar aur Parda Zyada
Paaya Jaata hai aur Muslim Shareef ki Hadees ki bunyaad par mardo ke
liye kaano tak haat utaana sunnat hai.
4.
Hazrat Ibn Umar Rdh. Farmaate hai ke : Rasoolullah SAW ke Mubarak
Zamaane me Aurto ko Hukum Diya Gaya ke Wo (Namaz me) Sareen ke Bal
Zameen par Baithe(Mardo ki Tarah Pairo par Na Baithe).(Jaami Al Saaneed : 400/1) Yeh
hadees imam e azam abu hanifa rh. ki musnad me saheeh sanad ke saat hai
aur musaaneed imam e azam ummat ke nazdeek qaabil e aaitemaad hai.(Tafseel ke Liye Dekhiye A’aalaa ul Sunan).
5. Ibne Umar (Raz.) Se Marfooan Naqal Kiya Gaya Hai Ke Aurat Jab Sajdah Kare To Apne Peit Ko Raano Se Chipka Le. [Ibne A’adi]
6.
Jaleel ul Qadr Tabii Hazrat Ata' (Rah.) Farmate Hain: Rukoo' Karte Waqt
Aurat Sukad Kar Rahe, Apne Hatho'n Ko Dauran Rukoo' Peit Tak Uthaaye
Rakhe Jitna Ho Sakta Hai Apne Badan Ke Aizaa Ko Ek Doosre Se Chimtaaye
Rakhe Aur Jab Sajdah Kare To Apne Hath Peit Se Mila Kar Rakhe. [Musannaf Abdur Razzaq]
Inke
Alawah Mujahid, Hasan Basri, Qatadah, Ibrahim Naqa'i Waghera Jaleelo
Qadar Taba'een Rehmaullah Se Bhi Mardo'n Aur Aurto'n Ki Namaz Me Farq
Bataane Wali Rivayat Naqal Ki Gayi Hain.
In
Rivaayaat Se Saaf Waazeh Hua Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Kuch Farq Hai
Aur Aurto'n Ko Namaz Ke Dauraan e Satar Aur Pardah Ka Ahtemaam Karte Hue
Simat Kar Namaz Ke Arkaan Bajaa Laane Chahiye. Aurto'n Ki Namaz Ka
Tareeqah Batlaane Wali In Mazkoorah Baala Rivaayaat Par Chand Tarah Ke
Aaitrazaat Karte Hain. Lekin Usool Hadis Ki Roshni Me Wo Aaiterazaat
Durust Nahi Hain. [Aaiterazaat Ki Tafseel Ke Liye Dekhei'n:
Nafa-e-sul , Daleel-E-Namaz; Masnoon Namaz; Allah Ta'la Ki Pasandeedah
Namaz Aur Majmua Rasaa'il Wa Maqaalaat: Jild Duwam].
a
No comments:
Write comments